Gunahon se mujh ko bacha ya-Ilahi Buri aadatein bhi chura ya-Ilahi
Khataon ko meri mita ya-Ilahi Mujhe nek khaslat bana ya-Ilahi
Mutee apna mujh ko bana ya-Ilahi Sada sunnaton par chala ya-Ilahi
Tujhe wasta sare nabiyon ka Maula Meri baksh de har khata ya-Ilahi
Gham-e-Mustafa de gham-e-Mustafa de Ho dard-e-Madinah ata ya-Ilahi
Main ishq-e-Nabi mein rahoon gum hamesha Tu deewana aisa bana ya-Ilahi
Madine ki masti rahe mujh pe chhayi Sada ya-Ilahi sada ya-Ilahi
Dikha har baras tu Haram ki baharein Tu Makkah Madinah dikha ya-Ilahi
Sharaf har baras Hajj ka paaun khudaya Chale Tayyaba phir qafila ya-Ilahi
Jo rote hain hijr-e-Madinah mein unko Madine ki galiyan dikha ya-Ilahi
Zaban aur aankhon ka qufl-e-Madinah Ata ho paye Mustafa ya-Ilahi
Tu murshid ke sadqe deewana bana de Shahanshah-e-Baghdad ka ya-Ilahi
Mujhe sunniyat par tu de istiqamat Paye Shah-e-Ahmed Raza ya-Ilahi
Tu angrezi fashion se hardam bacha kar Mujhe sunnaton par chala ya-Ilahi
Mutee apne murshid ka mujh ko bana de Main ho jaaun un par fida ya-Ilahi
Mutee apne maa baap ka kar mein unka Har ek hukm laaun baja ya-Ilahi
Sada peer-o-murshid rahein mujh se razi Kabhi bhi na hon yeh khafa ya-Ilahi
Bana de mujhe ek dar ka bana de Main hardam rahoon bawafa ya-Ilahi
Tujhe wasta Sayyidah Aminah ka Bana aashiq-e-Mustafa ya-Ilahi
Mujhe maal-o-daulat ki aafat ne ghera Bacha ya-Ilahi bacha ya-Ilahi
Na de jah-o-hashmat na daulat ki kasrat Gada-e-Madinah bana ya-Ilahi
Mujhe ghibat-o-chughli-o-badgumani Ki aafaat se tu bacha ya-Ilahi
Yeh dil gor-e-teera se ghabra raha hai Paye Mustafa jagmaga ya-Ilahi
Baqi-e-Mubarak mein tadfeen meri Ho, Hasnain ka wasta ya-Ilahi
Tu Attar ko chashm-e-nam de ke hardam Madine ke gham mein rula ya-Ilahi





