Dard apna de is qadar Ya Rab Na paray chain umr bhar Ya Rab
Meri aankhon ko de woh beenai Tu hi aaye mujhay nazar Ya Rab
Vird mera ho Tera kalma-e-pak Jab keh duniya say ho safar Ya Rab
Shajar-e-naat dil mein boya hai Jald is mein laga samar Ya Rab
Tere mehboob ka main waasif hoon De zabaan mein meri asar Ya Rab
Batufail-e-Rasool-e-har do sara Saath meray rahay Zafar Ya Rab
Teri rehmat jo meray saath rahay Mujh ko kis ka ho phir khatar Ya Rab
Aisa mujh ko guma de ulfat mein Na rahay apni kuch khabar Ya Rab
Dekhnay kay liye mujhay tarsay Umr bhar meri chashm-e-tar Ya Rab
Jaan niklay to is tarah niklay Tere dar par ho mera sar Ya Rab
Qabr mein aur jaan-kanni kay waqt Jab ho halat meri digar Ya Rab
Sakhtiyon say mujhay bacha lena Rakhna rehmat ki tu nazar Ya Rab
Aisi de meray dil ko apni talash Mujh ko mil jaye Tera ghar Ya Rab
Aastanay ka apnay rakh mangta Na phira mujh ko dar-ba-dar Ya Rab
Main nay phailaya daaman-e-maqsood Bhar de rehmat kay tu gauhar Ya Rab
Dil-e-veeraan ko noor say bhar de Keh ho aabad yeh khandar Ya Rab
Arsh us ko kahoon keh Baitullah Meray dil mein hai Tera ghar Ya Rab
Naam ko Tere rat-tay rat-tay roz Shaam say main karoon sahar Ya Rab
Meray seenay ko apni ulfat say Batufail-e-Habeeb bhar Ya Rab
Zarra zarra say aashkara hai Tu kisi ja nahi magar Ya Rab
Tera jalwa kahan nahi maujood Sab kay dil mein hai Tera ghar Ya Rab
Nahnu aqrab say khul gaya keh Tu hai Rag-e-jaan say qareeb-tar Ya Rab
Teri tahmeed kartay hain har dam Moor o maar o shajar hajar Ya Rab
Kartay hain subh o shaam lail o nahaar Teri tasbeeh khushk o tar Ya Rab
Meray jurm o qasoor par Tu na ja Apni rehmat pay kar nazar Ya Rab
Na thikana mera lagay ga kaheen Tu nay chora mujhay agar Ya Rab
Apnay mehboob ka mujhay waasif Rakh Tu rehmat say umr bhar Ya Rab
Ur kay pohanchoon main shehar-e-Tayyab mein Meray lag jayen aisay par Ya Rab
Yun uthoon qabr say darakhshan ru Jaisay nikla koi qamar Ya Rab
Meray piyaray Tere Habeeb jinhein Tu nay bulwaya arsh par Ya Rab
Un ka aur un ki Aal ka sadqa Khatma Tu ba-khair kar Ya Rab
Meri aulaad aur meri behnein Aur meray maadar o pidar Ya Rab
Jumla ahbaab aur sab ahl-e-sunan Kul pay rehmat ki rakh nazar Ya Rab
Dushmanon par tufail-e-Ghaus-e-Wara Meray murshid ko de Zafar Ya Rab
Meray ustaad thay Hasan marhoom Noor say un ki qabr bhar Ya Rab
Ittehad aisa sunniyon mein de Keh rahein sheer o shakar Ya Rab
Zikr-e-Mehboob ki yeh mehfil hai Is mein haazir hai jo bashar Ya Rab
Mard o aurat gada ghareeb o ameer Sab ki poori muradein kar Ya Rab
Naik kaamon ki in ko de taufeeq Kar ata sab ko zor o zar Ya Rab
Jo hain kam rizq muflis o mohtaaj Rizq de un ko pait bhar Ya Rab
La-walad ki murad poori kar Naik beton say god bhar Ya Rab
Baani-e-majlis-e-mubarak ka Rahay thanda dil o jigar Ya Rab
Jo keh jaltay hain zikr-e-maulid say Kar ata un ko tu saqar Ya Rab
Nechari o wahabi o rafazi Qahar ki un pay kar nazar Ya Rab
Aur jitnay hain dushman-e-Islam Jald dozakh mein un ko bhar Ya Rab
Mask kar de keh un ki ho jaye Soorat o saut misl-e-khar Ya Rab
De yeh taufeeq Tere aada say Ahle-sunnat karein hazar Ya Rab
Zer-e-har dam rahein Tere dushman Deen Tera rahay zabar Ya Rab
Qadri hai Jameelؔ ay Ghaffar Sab gunah us kay afw kar Ya Rab





