Amal ka ho jazba ata Ya Ilahi Gunahon se mujh ko bacha Ya Ilahi
Main panchton namazein parhon ba-jamaat Ho taufiq aisi ata Ya Ilahi
Parhon sunnat-e-qabliyah waqt hi par Hon saare nawafil ada Ya Ilahi
De shauq-e-tilawat de zauq-e-ibadat Rahoon ba-wuzu main sada Ya Ilahi
Hamesha nigahon ko apni jhuka kar Karoon khashi’ana dua Ya Ilahi
Ho akhlaq achha ho kirdar suthra Mujhe muttaqi tu bana Ya Ilahi
Main mitti ke saada se bartan mein khaaun Chatai ka ho bistara Ya Ilahi
Main neechi nigahain rakhoon kaash! Har dam Ata karde sharm-o-haya Ya Ilahi
Hamesha karoon kaash parde pe parda Tu paikar-e-haya ka bana Ya Ilahi
Libas sunnaton se muzayyan rahe aur Amama ho sar pe saja Ya Ilahi
Har ek madani inaam Attar paaye Karam kar paye Mustafa ﷺ Ya Ilahi





