Izn-e Tayyibah mujhe Sarkar-e Madinah ﷺ de do Lay chalay mujhe Tayyibah woh safina de do Yaad-e Tayyibah mein tarapne ka qareena de do Chashm-e tar sooz-e jigar Shah-e Madinah ﷺ de do Chaar-yaaron ka tumhein wasilah deta hoon Shaha ﷺ! Apna gham mujhe Shahenshah-e Madinah ﷺ de do Sadaqa Shahzade-e Koonain ka pyare Aqa ﷺ! Mujh ko de do mere Sarkar ﷺ Madinah de do Waqi aakhir hai chali jaan Rasul-e-Akram ﷺ! Ek jhalak aye mere Sultan-e Madinah de do Kasrat-e maal ki aafat se bacha kar Aqa ﷺ! Apne Attar ko ulfat ka khazina de do





