Gunahon se mujh ko bacha ya Ilahi Buri aadatein bhi chura ya Ilahi
Khataon ko meri mita ya Ilahi Mujhe nek khaslat bana ya Ilahi
Tujhe wasta saare nabiyon ka Maula Meri bakhsh de har khata ya Ilahi
Main ishq-e-Nabi ﷺ mein rahoon gum hamesha Tu deewana aisa bana ya Ilahi
Dikha har baras tu Haram ki fizaen Tu Makkah Madinah dikha ya Ilahi
Jo rote hain hijr-e-Madinah mein un ko Madine ki galiyan dikha ya Ilahi
Mujhe sunniyat par tu de istiqamat Pey Shah-e-Ahmad Raza ya Ilahi
Tu angrezi fashion se har dam bacha kar Mujhe sunnaton pe chala ya Ilahi
Sada peer-o-murshid rahein mujh se raazi Kabhi bhi na hon yeh khafa ya Ilahi
Bana de mujhe ek dar ka bana de Main har dam rahoon bawafa ya Ilahi
Mujhe maal-o-daulat ki aafat ne ghera Bacha ya Ilahi bacha ya Ilahi
Na de jah-o-hashmat, na daulat ki kasrat Gada-e-Madinah bana ya Ilahi
Yeh dil gor-e-teera se ghabra raha hai Pey Mustafa ﷺ jagmaga ya Ilahi
Attar ko chashm-e-nam de ke har dam Madine ke gham mein rula ya Ilahi





