Sab pukaro jhoom kar meetha Madinah marhaba Jhoom kar lab choom kar meetha Madinah marhaba Dooba rehta hai Madinah roshni mein har ghari Raat ho ya ho sehar meetha Madinah marhaba Noor barasate minaaray sabz gunbad ki bahaar Dil ho roshan dekh kar meetha Madinah marhaba Jante ho sabz gunbad kyun hai itna purkashish Is mein Aqa ﷺ ka ghar meetha Madinah marhaba Jabki chalti hai saba Aqa ﷺ ka roza choom kar Jhoom uthte hain shajar meetha Madinah marhaba Phool to phool hain kaante bhi us ke husn mein Khub se hain khub tar meetha Madinah marhaba Hum ko pyara hai Madinah is liye ke rehte hain Is mein Shah-e-Bahr-o-Bar ﷺ meetha Madinah marhaba Noor ki barse phawar is mein rahe har dam bahaar Khubsurat hai nagar meetha Madinah marhaba Hijr-e-Tayba mein tarapte hain Ya Rabb! unka bhi Ho Madinah ka safar meetha Madinah marhaba Ya Rasul Allah ﷺ kehte hi talengi mushkilain Ghamzadon aao idhar meetha Madinah marhaba Raat roshan din munawar sab samaan noor hai Dekh lo Ahl-e-Nazar meetha Madinah marhaba Jhoom kar taare karein didaar Tayyiba roz aur Hoon fida Shams o Qamar meetha Madinah marhaba Jo Madinah aagaya Attar aakar mar gaya Woh bada hai bakhtoor meetha Madinah marhaba





