Tu ne baatil ko mitaya ae Imam Ahmed Raza Deen ka danka bajaya ae Imam Ahmed Raza
Daur-e-baatil aur zalalat Hind mein tha jis ghadi Tu mujaddid ban ke aaya ae Imam Ahmed Raza
Ahl-e-Sunnat ka chaman ujda hua veeran tha Khil utha tu jabke aaya ae Imam Ahmed Raza
Tu ne baatil ko mita kar deen ko bakhshi jila Sunnaton ko phir jalaya ae Imam Ahmed Raza
Ae Imam-e-Ahl-e-Sunnat naib-e-Shah-e-Umam Kijiye hum pe bhi saya ae Imam Ahmed Raza
Hashr tak jaari rahe ga faiz-e-Aaqa aap ka Faiz ka dariya bahaya ae Imam Ahmed Raza
Hai bargaah-e-Khuda Attar-e-ashiq ki dua Tujh pe ho rehmat ka saya ae Imam Ahmed Raza





