We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Ab Bula Lijiye Na Madina

Muhammad Binyamin Shakir Attari

Ab bula lijiye na Madinah aa raha hai phir Hajj ka mahina Dil mera toot jaaye kahin na al-Madad Tajdar-e Madinah ﷺ


Aansoon ki lari ban rahi ho aur aahon se phatta ho seena Wird-e-lab ho Madinah Madinah jab chale soo-e Taibah Safina


Mujh ko Aqa ﷺ Madinah bula lo hasratain dil ki sari nikalo Ghous-e-Azam ka-sadaqah nibhalo ab to keh do mujhe chal Madinah



Get Lyrics On-The-Go! Download Our App Now!

Get it on Google Play


Kaash is shan se haazri ho mujh pe deewangi cha gayi ho Har rukawat wahan hat gayi ho bas nazar mein hoon Shah-e Madinah


Dil se ulfat jahan ki nikaalo vaas tabahi se Maula bachalo Mujh ko deewana apna bana lo mera seena bana do Madinah


Mujh pe Aqa ﷺ nigah-e-karam ho durud-e dunya ka har ranj o gham ho Aur ata apna gham chashm-e nam ho dijiye mujh ko pursuz seena


Main muballig banoon santon ka khoob charcha karun santon ka ho karam behar-e khak-e Madinah


Ba'd-e-mordan yeh ehsan karna munh pe khak-e Madinah chharkna Aur mere kafan pe lagana gar maysarhawwan ka pasina


Hai tamanna-e Attar YaRab! un ke jalon mein yun maut aaye Jab tardap kar gare mera laashah tham lain barh ke Shah-e Madinah ﷺ

Offline Lyrics Anytime, Anywhere - Download the App Today!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah