Ya RasoolAllah! Ya Khair-ul-Anaam Door uftaada ka ab leeje salaam
Zeb-o-zeen-e-arsh-e-Rehmaan-as-salaam Nikhat-o-tayyib gulistaan-as-salaam
Ae qaraar-e-beqaraaraan-as-salaam Chara-saaz-e-dilfigaaraan-as-salaam
Ae Shehenshah-e-Madinah-as-salaam Ae qaraar-e-qalb-o-seena-as-salaam
Jaan-e-jaan-o-jaan-e-eemaan-as-salaam Ae shafee-e-ahl-e-isyaan-as-salaam
Mehbat-e-wahi-o-sakeenah-as-salaam Ghaib-daan-o-ghaib-beena-as-salaam
Ae Khuda ko dekhne waale Nabi Kaun si shay tujh se aalam mein chupi
Keejiye apne karam se soorat-e-aish-e-dawaam Ya RasoolAllahi! Ata ho khuld-e-Tayyibah mein maqaam
Be-thikaanon ko thikaana deejye Bistar-e-khaak-e-Madinah deejye
Tu to waqif hai mere ahwaal se Kya gharaz phir mujh ko arz-e-haal se
Kaam bando ka hai arz-e-muddaa Yun labon par maqsad-e-dil aa gaya
Dafa Tayyibah se ho yeh Najdi bala Ya RasoolAllah! Ajjal bil-jalaa
Ya RasoolAllah! Bahar-e-Fatimah Apne Akhtar ko Madinah mein guma





