Shah-e-Arsh-e-Aala salamun alaykum Habib-e-Khudaya salamun alaykum
Mere mah-e-Taibah salamun alaykum Shahanshah-e-Batha salamun alaykum
Khabar jin ke aane ki thi muddaton se Hua jalwa farma salamun alaykum
Jo tashreef laye woh Sultan-e-Aalam Toh Kaaba pukara salamun alaykum
Do aalam ka Aaqa-o-Maula bana kar Tumhein Haq ne bheja salamun alaykum
Yeh aawaz har samt se aa rahi hai Shah-e-Deen-o-Dunya salamun alaykum
Tamanna hai apni Madine pahunch kar Kahoon pesh-e-rauza salamun alaykum
Dua hai ke jab waqt ho jaankani ka Ho lab par wazeefa salamun alaykum
Jameel apne Aaqa Shafee-ul-Umam par Parhe ja hamesha salamun alaykum





