Rahmat-e-do jahan par salam Shahd rakkhe zaban par salam
Ashk unki taraf chal pare Us haseen kehkashan par salam
Apni aankhon se likh aaya hoon Aap ﷺ ke aastan par salam
Bhejti hai sama'at meri Us sarapa adhan par salam
Dushman-e-jaan ko bhi aman de Peshwa-e-aman par salam
Jagmagaye nishan-e-qadam Jadda-e-jawidan par salam





