Mahboob-e-Rabb-e-Akram lakhon salam tum par Lakhon durood har dam lakhon salam tum par
Tum hakim-e-zaman ho, sultan-e-do jahan ho Ae Sarwar-e-muazzam lakhon salam tum par
Pyare Nabi! shafa’at ki bheek ho inayat Rahmat ho jaan-e-alam lakhon salam tum par
Dil mein tumhari ulfat hai de do is mein barkat Hargiz na ho kabhi kam, lakhon salam tum par
Ae wali-e-Madinah bulwayiye Madinah Kash aa ke yeh parhein hum lakhon salam tum par
Ya Mustafa! karam ho jis dam labon pe dam ho Kalma parhun main us dam lakhon salam tum par
Sarkar! ho inayat deedar ho inayat Jalwon pe mar miten hum lakhon salam tum par
Ishq apna de do mujh ko un ke tufail mein jo Mere hain Ghaus-e-Azam lakhon salam tum par
Shaitan o nafs haye! barbad karne aaye Faryad! Shah-e-alam lakhon salam tum par
Ranj o alam ne mara lillah do sahara Aaqa! Shafi-e-Azam lakhon salam tum par
Duniya ke gham mita do, uqba ke gham mita do Kar do ghamon se be-gham lakhon salam tum par
Murjhaya dil khil uthay de do Raza ke sadqay Daagh-e-jigar ka marham lakhon salam tum par
Rahmat ho ya Nabi ab hon khatm nafratein sab Sunni hon sab munazzam lakhon salam tum par
Attar ko Khuda ne, bakhsha tumhare sadqay Tha laiq-e-jahannam, lakhon salam tum par





