Ae Madine ke taajdaar tujhe ahl-e-imaan salaam kehte hain Tere ushshaq tere deewane jaan-e-jaanaan salaam kehte hain
Teri furqat mein be-qaraar hain jo hijr-e-Taibah mein dil-figaar hain jo Woh talab-gaar-e-deed ro-ro kar, ae meri jaan salaam kehte hain
Jin ko duniya ke gham sataate hain, thhokrein dar-ba-dar jo khaate hain Gham-naseebon ke chaara-gar, tum ko woh pareshaan salaam kehte hain
Ishq-e-Sarwar ﷺ mein jo tadapte hain, haazri ke liye taraste hain Izn-e-Taibah ki aas mein Aaqa ﷺ woh pur-armaan salaam kehte hain
Tere roze ki jaaliyon ke qareen, saari duniya se mere Sarwar-e-Deen ﷺ Kitne khush-bakht roz aa aa kar tere mehmaan salaam kehte hain
Door duniya ke ranj-o-gham kar do aur seene mein apna gham bhar do Sab ko chashmaan-e-tar ata kar do jo musalmaan salaam kehte hain





