Ae Arab ke tajdar, ahlan wa sahlan marhaba Ae Rasool-e-zee-waqar, ahlan wa sahlan marhaba
Aaye Shah-e-namdar, ahlan wa sahlan marhaba Sab pukaro baar baar, ahlan wa sahlan marhaba
Ae Habib-e-Kirdgar, ahlan wa sahlan marhaba Ae Khuda ke shahkar, ahlan wa sahlan marhaba
Aaminah ke gul-e-izar, ahlan wa sahlan marhaba Ae hamare shahryar, ahlan wa sahlan marhaba
Anbiya ke tajdar, ahlan wa sahlan marhaba Taibah ke naqa sawar, ahlan wa sahlan marhaba
Bahr-e-ummat ashkbar, ahlan wa sahlan marhaba Shafi-e-roz-e-shumar, ahlan wa sahlan marhaba
Rahmat-e-Parwardigar, ahlan wa sahlan marhaba Haq ke tum aaeena dar, ahlan wa sahlan marhaba
Apne Rab ke razdar, ahlan wa sahlan marhaba Ghaib tum par aashkar, ahlan wa sahlan marhaba
Ya Shah-e-aali waqar, ahlan wa sahlan marhaba Badshah-e-namdar, ahlan wa sahlan marhaba
Ghamzadon ke ghamgusar, ahlan wa sahlan marhaba Be-qararon ke qarar, ahlan wa sahlan marhaba
Do jahan ke tajdar, ahlan wa sahlan marhaba Sarwar-e-ba-ikhtiyar, ahlan wa sahlan marhaba
Marham-e-qalb-e-figar, ahlan wa sahlan marhaba Mera bigra dil sanwar, ahlan wa sahlan marhaba
Izzat-e-ruswa-o-zaar, ahlan wa sahlan marhaba Quwwat-e-zaar-o-nazar, ahlan wa sahlan marhaba
Noor ki barshi phuhar, ahlan wa sahlan marhaba Aaya har shay par nikhar, ahlan wa sahlan marhaba
Kar munawwar qalb-e-taar, ahlan wa sahlan marhaba Door ho dil ka ghubar, ahlan wa sahlan marhaba
Sab se barh kar kamgar, ahlan wa sahlan marhaba Ba'is-e-baagh-o-bahar, ahlan wa sahlan marhaba
Jalwa kar de aashkar, ahlan wa sahlan marhaba Ho fida Attar-e-zaar, ahlan wa sahlan marhaba





