Yaar ko hum ne ja ba ja dekha Kahin zahir kahin chupa dekha
Kahin mumkin hua kahin wajib Kahin faani kahin baqa dekha
Deed apne ki thi use khwahish Aap ko har tarah bana dekha
Soorat-e-gul mein khil khila ke hansa Shakal-e-bulbul mein chehcheha dekha
Shama ho kar ke aur parwana Aap ko aap mein jala dekha
Kar ke dawa kahin Ana al-Haq ka Bar sar-e-daar woh khincha dekha
Tha woh bartar shuma-o-ma se Niyaz Phir wahi ab shuma-o-ma dekha
Kahin hai badshah-e-takht nasheen Kahin kasa liye gada dekha
Kahin aabid bana kahin zahid Kahin rindon ka peshwa dekha
Kahin woh dar libas-e-mashooqa Bar sar-e-naaz aur ada dekha
Kahin aashiq Niyaz ki soorat Seena-e-biryan-o-dil jala dekha