Hum ko yaan dar dar phiraya yaar ne La makaan mein ghar banaya yaar ne
Aap apne dekhne ke waste Hum ko aaina banaya yaar ne
Apne ek adna tamashe ke liye Hum ko sooli par charhaya yaar ne
Aap chup ke hum ko kar ke rubaru Khoob hi ruswa karaya yaar ne
Aap to but ban ke ki jalwagari Aur humein kafir banaya yaar ne