Jo hain aashna sar-e-asraar ke Woh hain yaar har yaar-o-aghyar ke
Andhera ujaala nihaan aur ayaan Yeh jalwe hain sab jalwa-e-yaar ke
Bahaar-o-khizaan hum pe hai eksaan Kabhi yaar gul hain kabhi khaar ke
Udhar ki nahin jaante rasm-o-raah Miyaan hum toh baashinday hain paar ke
Bana tod hasti ki le ganj-e-wasl Bada ganj hai zer-e-deewar ke
Kahaan se kahaan le ke pahuncha yeh dil Malaa'ik jahaan se rahe haar ke
Nahin Qais-o-Farhad sa main Niaz Ke hoon gard-o-sehra-o-kohsaar ke