Madrasay mein aashiqon ke jis ki bismillah ho Is ka pehla hi sabaq yaaro fana-fi-Allah ho
Yeh sabaq toolani aisa hai ke aakhir ho na ho Be-nihayat ko nihayat kaise Ya Rabbah ho
Doosra phir ho sabaq ilm-ul-fana ka intifa Yaani is apni fana se kuch na woh aagah ho
Daud aake tab chale jab jod peeche ho madad Is daqeeqay ko wahi pahunche jo haq-aagah ho
Teesra is ka sabaq hai phir ke aana is taraf Ab baqa-bi-Allah haasil is ko khatir-khwah ho
Woh bhi aajiz ho gaye mushkil hai jin ka rabt-o-zabt Hafiz-o-Mulla yahan par kab daleel-e-rah ho
Hazrat-e-Ishq aap hovein gar madras chand roz Phir to ilm-e-faqr ki tehseel khatir-khwah ho
Ek tawajjuh aap ki wafi-o-kaafi hai hamein Kaisa hi qissa ho toolani to woh kutaah ho
Ai Niyaz apne to jo kuch ho tumhein ho bas faqat Hazrat-e-Ishq aap ho aur aap dam-e-Allah ho