Mujhe be-khudi yeh tu ne bhali chashni chakhai Kisi aarzu ki dil mein nahin ab rahi samai
Na hazar hai na khatar hai na raja hai na dua hai Na khayal-e-bandagi hai na tamanna-e-khudai
Na maqam-e-guftagu hai na mahal-e-justuju hai Na wahan hawas pahunchein na khirad ko hai rasai
Na makeen hai na makaan hai na zameen hai na zamaan hai Dil-e-be-nawa ne mere jahan chhauni hai chhai
Na wisaal hai na hijraan na suroor hai na gham hai Jise kahiye khwab-e-ghaflat so woh neend hum ko aai
Man-o-tu uthe jahan hon hawasein wahan kahan hon Jo duai ke thi lawazim so rahai un se pai
Yahan main raha hoon jab to sukhan-e-niaz bolun Sunoge zabaan-e-ney se wahi jo kahe ga nai