Ishq ki ibtida bhi tum husn ki intiha bhi tum Rehne do raaz khul gaya bande bhi tum Khuda bhi tum
Apni ata ka wasta meri khatayen baksh do Main to gunahgaar hoon mera to aasra bhi tum
Banda-e-haq gada-nawaaz mehram-e-raaz be-niyaaz Waqif hai raaz-e-kibriya jalwa-e-Mustafa bhi tum