Zarre zarre par chhaya hua noor hai mere meethay Madinah ki kya baat hai Noor se sab fiza us ki mamoor hai mere meethay Madinah ki kya baat hai Noor phoolon mein hai noor kaliyon mein hai noor bazaar mein noor galiyon mein hai Dasht o kahsaar par noor hi morhe mere meethay Madinah ki kya baat hai Har taraf rehmaton ki hai chhai ghata meheki meheki hai kya khoob Madni fiza Zarre zarre par qurbaan yahaan toor hai mere meethay Madinah ki kya baat hai Bagh-e Tayyiba mein rehti hai har dam bahar aake dekho yahan ka samaan khushgawar Sab fiza us ki khushboo se mamoor hai mere meethay Madinah ki kya baat hai Khak-e Tayyiba mein rakhi hai Rabb ne shifa saari bemariyon ki hai us mein dawa Us ki barakat se har ek marz door hai mere meethay Madinah ki kya baat hai Aas mujh ko tumhare karam ki shaha ﷺ bhik dey de mujhe apne gham ki shaha ﷺ Keh do mujh ko teri arz manzoor hai mere meethay Madinah ki kya baat hai Phir Madinah ka rangeen gulzar ho dar-pe hazir tere sig-e Attar ho Is ka nama gunahon se bharpur hai mere meethay Madinah ki kya baat hai





