Zameen aasmaan mein makaan la-makaan mein koi aap sa hai nahi hai nahi hai Woh Sidra ka raahi Habib-e-Ilahi koi doosra hai nahi hai nahi hai
Sabhi ambiya de rahe hain gawahi wafadaar hain Mustafa ﷺ ke Ilahi Jo banda nahi hai mere Mustafa ﷺ ka woh banda Khuda ka nahi hai nahi hai
Sabhi daiyon ne Halima se poocha, tere paas kya hai, toh boli Halima Isay dekh kar batao aisa kisi ko mila hai nahi hai nahi hai
Raha umr bhar gham jise aasiyon ka sar-e-arsh bhi jo na ummat ko bhoola Misaal us karam ki jawab us ataa ka kahin mil saka hai nahi hai nahi hai
Kahan tak kare koi tauseef inki Khuda jabke karta hai tareef inki Zahoori kisi se Nabi ki sana ka hua haq ada hai nahi hai nahi hai





