Ghamzadon ke liye rehmat-e-Mustafa woh samundar hai jis ka kinara nahin Hashr ke din bhi woh sab ke kaam aayenge kaun hai jis ne un ko pukara nahin
Shahid is pe hua hai kalam-e-Khuda Mustafa ki raza hai Khuda ki raza Apne mehboob se Haq ne farma diya jo tumhara nahin woh hamara nahin
Muntazir chashm-e-rehmat ke shah-o-gada hai baha un ka faizan-e-jood-o-sakha Dar pe aaye sawali na jholi bharein mere sarkar ko yeh gawara nahin hai
Bebas-o-be-amaan, bekas-o-natawan khasta tan, be-watan, tishna lab, neem jaan Daman-e-Mustafa sab ki jaye panah is se barh kar to koi sahara nahin
Kya ghari hogi mahshar mein sab ambiya ummaton ko na denge koi aasra Hogi sab ki zaban pe yahi ek sada Mustafa ke siwa koi chara nahin
Ho ke warufta jo bhi Madine gaya sabz gumbad ko bas dekhta reh gaya Saari dunya mein aisa haseen dilruba doosra aur koi nazara nahin
Naat-e-Sarkar ki dil se nikle sada sunne wale bhi hon jaan-o-dil se fida Sara manzar Zahuri ho mehkawa is se barh kar sama koi pyara nahin





