Yeh aarzu nahi ke duaein hazaar do Parh ke Nabi ki naat lahad mein utaar do
Dekha abhi abhi hai nazar ne jamaal-e-yaar Ae maut mujh ko thori si mohlat udhaar do
Sunte hain jaankani ka hai lamha bahut kathan Le kar Nabi ka naam yeh lamha guzaar do
Mere Kareem main tere dar ka faqeer hoon Apne karam ki bheek mujhe baar baar do
Gar jeetna hai ishq mein, laazim yeh shart hai Khelo agar yeh baazi toh har cheez haar do
Yeh jaan bhi Zahoor-i Nabi ke tufail hai Is jaan ko Huzoor ka sadqa utaar do





