Hawaao! Sarwar-e-Aalam ke dar ki baat karo Ghataao! Taibah ke shaam-o-sahar ki baat karo
Sunaao mujh ko na sair-e-jahan ke afsaane Madinah paak ke pyaare safar ki baat karo
Gham-e-firaaq-e-Nabi mein jo ba-wazu hi rahe Khusha naseeb us aankh-e-tar ki baat karo
Hata do sar se mere dosto tabeebon ko Madine waale mere chaara-gar ki baat karo
Woh jin ke dam se bahaar-e-hayaat qaim hai Nabi ke baagh ke barg-o-samar ki baat karo
Zahoori dekh ke aaya hoon zarre Bat-ha ke Na mere saamne shams-o-qamar ki baat karo





