Falak ke nazaro, zameen ki baharo, Sab khushiyan manao, huzoor aa gaye hain Utho gham ke maaro chalo be-saharo Khabar yeh sunao huzoor aa gaye hain
Anokha nirala woh zeeshan aaya Saare rasoolon ka sultan aaya Arey kaj-kulaho, arey badshaho, Nigahein jhukao huzoor aa gaye hain
Hawa chaar su rehmaton ka baseera Ujala ujala sawera sawera Haleema ko pahunchi khabar Aamina ki, Mere ghar mein aao huzoor aa gaye hain
Hawaon mein jazbaat hain marhaba ke, Fazaon mein naghmaat sall-e-ala ke Durood ke gajre salamon ke tuhfe Ghulaamo sajao huzoor aa gaye hain
Samaan hai sana-e-habib-e-Khuda ka Yeh milad hai sarwar-e-ambiya ka Nabi ke gadao sab ek dusre ko Gale se lagao huzoor aa gaye hain
Kahan main Zahoorؔi kahan un ki baatein Karam hi karam hai yeh din aur raatein Jahan pe jao dilon ko jagao Yehi kehte jao huzoor aa gaye hain





