Yun toh lakhon mah-jabeen hain aap sa koi nahi Ek mehboob-e-Khuda hai dusra koi nahi
Hain shab-e-Isra ki saari rif'atein un par nisaar Aisi khalwat mein gaya un ke siva koi nahi
Jurm kitna hi na kyun ho bakhsh deta hai Khuda Woh jise keh dein ke ja teri khata koi nahi
Woh ibadat jis mein hubb-e-Mustafa shamil nahi Yeh woh kashti hai ke jis ka nakhuda koi nahi
Maskan-e-Nabvi Madinah pasdar-e-bekasaan Aur dunya mein kaheen aisi fiza koi nahi
Dekh kar mujh ko Zahoor-i itna kehte hain tabeeb Yeh mareez-e-ishq hai is ki dawa koi nahi





