Yeh nawazishein yeh inaayatein gham-e-dojahan se chura diya Gham-e-Mustafa tera shukriya mujhe marna jeena sikha diya
Woh Khuda hai jiska khayal bhi meri har pahunch se buland hai Woh Nabi ka ahsan-o-jamaal hai ke Khuda ka jisne pata diya
Mera soz-e-lazzat-e-zindagi mere ashq meri bahaar hain Yeh karam hai ishq-e-Rasool ka mujhe dard ne bhi maza diya
Kahan main kahan teri aarzoo kahan main kahan teri justujoo Tu qareeb tha tu qareeb hai jo hijaab tha woh utha diya
Tu kareem kitna azeem hai tu raoof hai tu raheem hai Koi bheek mangne aa gaya to zarooraton se siwa diya
Jo malal mera tha tumhein iska kitna khayal tha Ke ujad gaya tha diyar-e-dil use tum ne aa ke basa diya
Main hoon apne haal pe mutmain main kisi ko kaise bataunga Yeh mu'amlaat hain raaz ke mujhe un ke ishq ne kya diya
Woh ghari bhi aaye ke khwaab mein woh dikhaein apni tajalliyan Main kahoon ke aaj Huzoor ne mera bakht-e-khufta jaga diya
Yeh tumhara Khalid-e-be-nawa hai saroor-o-kaif ka waasta Isse dhoondhne lage maikade use kaisa jaam pila diya





