Wohi sab se meethi zabaan hai jo mere Nabi ﷺ ki sana kare Rahe jis mein yaad-e-Huzoor ﷺ ki sada rab woh dil bhi ata kare
Jo maza hai zikr-e-Habib ﷺ mein hai kisi kisi ke naseeb mein Wohi ranj-o-gham se bacha rahe jo Nabi ﷺ ko yaad kiya kare
Mera sukh Madine mein haziri, mera dukh Madine se wapsi Jo wahan chalo toh dua karo, na Khuda wahan se juda kare
Mila hum ko aisa Kareem hai, jo azeem se bhi azeem hai Woh jo dushmanon ke liye bhi amn-o-salamti ki dua kare
Yeh sada durood-o-salam ki, hai yahi mata-e-ghulam ki Mere saath aakhri saans tak yeh sada hi jaaye Khuda kare
Main ne un ka naam jahan liya hua mujh pe saara jahan fida Yeh Zahoor-i-banda-e-pur-khata bhala kaise shukar ada kare





