We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Woh Hussan Hai Aye

Jamil ur Rehman Qadri

Woh husn hai ae Syed-e-Abrar tumhara Allah bhi hai talib-e-deedar tumhara


Mehboob ho tum khaliq-e-kul malik-e-kul ke Kyun khalq pe qabza na ho Sarkar tumhara


Kyun deed ke mushtaq na hon Hazrat-e-Yousuf Allah ka deedar hai deedar tumhara


Allah ne banaya tumhein kaunain ka hakim Aur rakha laqab Ahmad-e-Mukhtar tumhara


Bigde hue sab kaam sambhal jayein isi dam Dil se koi gar naam le ik baar tumhara


Ummat ke ho tum hami-o-ghamkhwar tarafdar Allah Ta'ala hai tarafdar tumhara


Tum awwal-o-aakhir ho tumhein batin-o-zahir Rab karta hai yeh martaba izhaar tumhara


Kya janiye Ma Aw-ha mein kya raaz hain makhfi Tum jaante ho ya wahi Sattaar tumhara


Tum pyare Nabi Noor-e-Jali Sirr-e-Khafi ho Allah Ta'ala hai khabardaar tumhara


Sar hai wahi sar jis mein tera dhyan hai har aan Aur dil hai wahi jo hai talabgar tumhara


Jis ko marz-e-ishq nahi hai woh hai bimar Acha to wahi hai jo hai bimar tumhara


Har waqt taraqqi pe rahe dard-e-mohabbat Changa na ho Maula kabhi bimar tumhara


Dil mein nahi kuch is ke siwa aur tamanna Allah dikha de hamein darbar tumhara


Yeh arz-o-sama khwan hain mehman-e-zamana Sarkar nahi kaun namak khwar tumhara


Har dam hai tumhein apne ghulamon pe inayat Din raat ka yeh kaar hai Sarkar tumhara


Be-maange ata karte ho man-mani muradein Dena hi ghulamon ko hai kirdar tumhara


Kyun arz karoon mujh ko hai is cheez ki hajat Sab jaanta hai yeh dil-e-bedaar tumhara


Balin pe chale aao dam-e-naz'a khudara Dam todta hai hijr mein bimar tumhara


Lashe ko karein dafn Madinah mein farishtay Marjaye agar Hind mein bimar tumhara


Parwaz kare jism se jab rooh to dil mein Allah ho aur lab pe ho iqrar tumhara


Ummat bhi tumhari hui Allah ko pyari Allah se woh pyar hai Sarkar tumhara


Uth jaye Madine se lahad ka meri parda Main dekh loon woh chand sa rukhsaar tumhara


Din raat jo karte hain khataon pe khatayein Bakhshish ke liye in ki hai israr tumhara


Allah ne wada yeh kiya hai Shab-e-Meraj Dozakh mein rahega na gunahgar tumhara


Jab tum ko bulaya Shab-e-Meraj Khuda ne Jibril bana ghashiya-bardar tumhara


Bandon ko kisi waqt bhi dil se na bhulaya Hai ummat-e-asi pe ajab pyar tumhara


Kyun asiyo gham se hai dil afgar tumhara Ghamkhwar tumhara hai woh dildaar tumhara


Lo aaya woh hami-o-madadgar tumhara Bera hua ae ahl-e-sunan paar tumhara


Ae asiyo tum apne gunahon se yeh keh do Sarkar-e-Madinah hai kharidar tumhara


Maidan-e-Qayamat mein bajuz zaat-e-muqaddas Aur asiyo hai kaun kharidar tumhara



Stop Wasting Storage - Download Lyrics in Lightweight Text Format!

Get it on Google Play


Ghabraye gunahgar to rehmat ne pukara Ae asiyo aapahunca madadgar tumhara


A'maal na kuch poochna rehmat ke muqabil Jis waqt jame hashr mein darbar tumhara


Duniya mein Qayamat mein sar-e-pul pe lahad mein Daman na chutte haath se Sarkar tumhara


Ae kaash malaik sar-e-mehshar kahein mujh se Lo dhul gaya sab jurmon ka tomar tumhara


A'da ko jalane ke liye naar-e-hasad mein Hum zikr kiye jayenge Sarkar tumhara


Tauheed pe marte hain magar is se hain ghafil Allah ka inkar hai inkar tumhara


Tohin ko tauheed samajhte hain Wahabi Samjhe unhein Rab-e-Wahid-o-Qahhar tumhara


Bulbul hai Jameelؔ Rizvi ae gul-e-wahdat Mil jaye use rehne ko gulzar tumhara

Stop Wasting Storage - Download Lyrics in Lightweight Text Format!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah