Waah kya martaba hua tera Tu Khuda ka Khuda hua tera
Taaj waale hon us mein ya mohtaaj Sab ne paaya diya hua tera
Haath khaali koi phira na phire Hai khazana bhara hua tera
Aaj sunte hain sunne waale kal Dekh lenge kaha hua tera
Use tu jaane ya Khuda jaane Pesh-e-Haq rutba kya hua tera
Ghar hain sab band dar hain sab teeghe Ek dar hai khula hua tera
Kaam tauheen se hai Najdi ko Tu hua ya Khuda hua tera
Taajdaron ka taajdaar bana Ban gaya jo gada hua tera
Aur main kya likhun Khuda ki hamd Hamd use woh Khuda hua tera
Jo tera ho gaya Khuda ka hua Jo Khuda ka hua hua tera
Hausle kyun ghaten gareebon ke Hai irada badha hua tera
Zaat bhi teri intekhab hui Naam bhi Mustafa hua tera
Jise tu ne diya Khuda ne diya Dain Rabb ki diya hua tera
Ek aalam Khuda ka taalib hai Aur taalib Khuda hua tera
Bazm-e-imkaan tere naseeb khule Ke woh dulha bana hua tera
Meri taat se mere jurm fazoon Lutf sab se badha hua tera
Khauf-e-wazn-e-amal kise ho ke hai Dil madad par tula hua tera
Kaam bigde hue bana dena Kaam kis ka hua hua tera
Har ada dil-nasheen bani teri Har sukhan jaan-faza hua tera
Aashkara kamaal-e-shaan-e-Huzoor Phir bhi jalwa chhupa hua tera
Parda-daar-e-ada hazaar hijaab Phir bhi parda utha hua tera
Bazm-e-duniya mein bazm-e-mahshar mein Naam kis ka hua hua tera
Man raani faqad ra’al Haq Husn yeh Haq-numa hua tera
Baar-e-isyaan saron se phenke ga Pesh-e-Haq sar jhuka hua tera
Yam-e-jood-e-Huzoor pyaasa hun Yam ghata se badha hua tera
Wasl-e-wahdat phir us pe yeh khalwat Tujh se saaya juda hua tera
San’at-e-Khaliq ke jitne khaake hain Rang sab mein bhara hua tera
Arz-e-Taiba qadoom-e-waala se Zarra zarra sama hua tera
Ae Jinaan mere gul ke sadqe mein Takhta takhta basa hua tera
Ae falak mehr-e-Haq ke baade se Kaasa kaasa bhara hua tera
Ae chaman bheek hai tabassum ki Ghuncha ghuncha khula hua tera
Aisi shaukat ke taajdaar kahan Takht takht-e-Khuda hua tera
Us jalalat ke shahryaar kahan Mulk mulk-e-Khuda hua tera
Khalq kehti hai laamakaan jis ko Shah-nasheen hai saja hua tera
Zeest woh hai ke husn-e-yaar rahe Dil mein aalam basa hua tera
Maut woh hai ke zikr-e-dost rahe Lab pe naqsha jama hua tera
Hon zameen waale ya falak waale Sab ko sadqa ata hua tera
Har ghadi ghar se bheek ki taqseem Raat din dar khula hua tera
Na koi doosra mein tujh sa hai Na koi doosra hua tera
Sookhe ghaaton mera utaar ho kyun Ke hai dariya chadha hua tera
Sookhe dhaanon ki bhi khabar le le Ke hai baadal ghira hua tera
Mujh se kya le sake adu eemaan Aur woh bhi diya hua tera
Le khabar hum tabaah-kaaron ki Qafila hai luta hua tera
Mujhe woh dard de Khuda ke rahe Haath dil par dhara hua tera
Tere sar ko tera Khuda jaane Taaj-e-sar naqsh-e-paa hua tera
Bigdi baaton ki fikr kar na Hassanؔ Kaam sab hai bana hua tera





