Uthi jidhar nigah-e-Risalat-ma'ab ﷺ ki Zarron ko aab-o-taab mili aftab ki
Ajmal-tareen husn hai akmal-tareen wasf Har baat la-jawab hai us la-jawab ki
Har har ada hai surat-e-Quran liye hue Kya baat hai janab-e-Risalat-ma'ab ﷺ ki
Dil bhi diya to main ne Khuda ke Habib ﷺ ko Taqdeer jaag uthi hai mere intekhab ki
Un ke karam ne deed ke qabil bana diya Warna kise hai tab-e-rukh-e-be-naqab ki
Mujh se gunahgar ko daman mein le liya Ho khair aap ke karam-e-be-hisab ki





