Un ki yaad mein rehta hoon aur mujhe kuch kaam nahi Saare achhe naam hain un ke mera koi naam nahi Unki yaad ka ehsaas hai fikr-e subh-o-shaam nahi Bin maange har cheez mili hai muhroomi ka naam nahi Hum ne to dekhi hi nahi soorat hi nakaami ki Un ka karam ho jaye to mushkil koi kaam nahi Jitna jis ka zarf-e talab vaisa us ka paimana Batha ke mekhane mein koi bhi tashna kaam nahi Yahan tak mehdood nahi hai un ka jalwa aye waiz Woh to yahan bhi hain lekin deed-e-mizaq-e-aam nahi Jis ko un ka dard mila saari kainat mili Is se barh kar Allah ka aur koi inaam nahi Mere tadapne ki Khalid un ko khabar ho jati hai Arz meri sun lete hain koi tadap nakaam nahi





