Toor ne toh khoob dekha jalwa-e-shaan-e-jamal Is taraf bhi ik nazar aye barq-e-tabaan-e-jamal
Ik nazar be-parda ho jaye jo lam’aan-e-jamal Mardum-e-deedah ki aankhon par jo ehsaan-e-jamal
Chal gaya jis raah mein sarv-e-kharaman-e-jamal Naqsh-e-pa se khul gaye lakhon gulistan-e-jamal
Hai shab-e-gham aur giraftaran-e-hijran-e-jamal Mehar kar zarron pe aye khursheed-e-tabaan-e-jamal
Kar gaya aakhir libas-e-lala-o-gul mein zuhoor Khaak mein milta nahin khoon-e-shaheedan-e-jamal
Zarra zarra khaak ka ho jaye ga khursheed-e-hashr Qabr mein le jayenge aashiq jo armaan-e-jamal
Ho gaya shadab aalam aa gayi fasl-e-bahaar Uth gaya parda khula baab-e-gulistan-e-jamal
Jalwa-e-moo-e-mahasin chehra-e-anwar ke gird Aabnosi rahal par rakha hai Quran-e-jamal
Is ke jalwe se na kyun kafoor hon zulmaat-e-kufr Pesh-gah-e-noor se aaya hai farman-e-jamal
Kya kahoon kitna hai un ki rah-guzar mein josh-e-husn Aashkara zarra zarra se hai maidan-e-jamal
Zarra-e-dar se tere hamsar hon kya mehar-o-qamar Yeh hai Sultan-e-Jamal aur woh gadayan-e-jamal
Kya maze ki zindagi hai zindagi ushshaq ki Aankhen un ki justuju mein dil mein armaan-e-jamal
Roo-siyahi ne shab-e-daijoor ko sharma diya Moonh ujala kar de aye khursheed-e-tabaan-e-jamal
Abru-e-pur-kham se paida hai hilal-e-maah-e-eid Matla-e-aariz se roshan badr-e-tabaan-e-jamal
Dil-kashi-e-husn-e-janan ka ho kya aalam bayan Dil fidaye aayina aayina qurban-e-jamal
Pesh-e-Yusuf haath kaate hain zanan-e-Misr ne Teri khatir sar kata baithe fidayan-e-jamal
Tere zarra par shab-e-gham ki jafayen tab-ke Noor ka tarka dikha aye mehar-e-tabaan-e-jamal
Itni muddat tak ho deed-e-mashaf-e-aariz naseeb Hifz kar loon nazra parh parh ke Quran-e-jamal
Ya Khuda dil ki gali se kaun guzra hai ki aaj Zarra zarra se hai taale’ mehar-e-tabaan-e-jamal
Un ke dar par is qadar bat-ta hai barah noor ka Jholiyan bhar bhar ke late hain gadayan-e-jamal
Noor ki barish Hasan par ho tere deedar se Dil se dhul jaye Ilahi daagh-e-hirman-e-jamal





