Tasawwur lutf deta hai dahan-e-pak sarwar ka Bhara aata hai paani mere moonh mein hauz-e-kausar ka
Jo kuch bhi wasf ho un ke jamal-e-zarra parwar ka Mere diwan ka matla ho matla mehr-e-mahshar ka
Mujhe bhi dekhna hai hausla khursheed-e-mahshar ka Liye jaunga chota sa koi zarra tere dar ka
Jo ik gosha chamak jaye tumhare zarra-e-dar ka Abhi moonh dekhta reh jaye aaina sikandar ka
Agar jalwa nazar aaye kaf-e-pa-e-munawwar ka Zara sa moonh nikal aaye abhi khursheed-e-mahshar ka
Agar dam bhar tasawwur kijiye shan-e-payambar ka Zaban par shor ho be-sakhta Allahu Akbar ka
Ujala toor ka dekhein jamal-e-jaan fiza dekhein Kaleem aakar utha dekhein zara parda tere dar ka
Do aalam mehman to mezban khwan-e-karam jaari Idhar bhi koi tukda main bhi kutta hoon tere dar ka
Na ghar baithe mile jauhar safa-o-khaksari ke Mureed-e-zarra-e-taiba hai aaina sikandar ka
Agar is khanda-e-dandan numa ka wasf mauzoon ho Abhi lehra chale bahr-e-sukhan se chashma-e-gauhar ka
Tere daman ka saya aur daman kitne pyare hain Woh saya dasht-e-mahshar ka yeh hami deedah-e-tar ka
Gunahgaran-e-ummat un ke daman par machalte hon Ilahi chaak ho jis dam gareban subh-e-mahshar ka
Malaik jin-o-insan sab isi dar ke salami hain Do aalam mein hai ik shuhra mere mohtaj parwar ka
Ilahi tishna kaam-e-hijr dekhe dasht-e-mahshar mein Barsana abr-e-rehmat ka chalakna hauz-e-kausar ka
Ziyarat main karoon aur woh shafa’at meri farmayein Mujhe hangama-e-eidein ya-Rabb din ho mahshar ka
Naseeb dostan un ki gali mein gar sukoonat ho Mujhe ho maghfirat ka silsila har taar-e-bistar ka
Woh girya ustu-e-hanana ka aankhon mein phirta hai Huzoori ne badhaya tha jo paya auj-e-mimbar ka
Hamesha rehrawan-e-taiba ke zer-e-qadam aaye Ilahi kuch to ho a’zaz mere kasa-e-sar ka
Sahara kuch na kuch rakhta hai har fard-e-bashar apna Kisi ko nek kamon ka Hasan ko apne yaawar ka





