Shahanshah-e-zamana ba-hazaran karr-o-farr aaye Kya aalam pe qabza mulk mein sab khushk-o-tar aaye
Ilahi mere marne ki Madine se khabar aaye Fida ho jaaun rozay par na wapas mera sar aaye
Woh tang-o-taar gosha qasr-e-jannat hi nazar aaye Jo meri qabr mein Mah-e-Madinah jalwa-gar aaye
Mujhe umr-e-abad hasil ho aur dunya mein jannat ho Woh jaan-e-Khizr-o-Isa na'ash par meri agar aaye
Chamak jaaye muqaddar yaawari par meri qismat ho Jo un ki rahguzar mein yeh mera na-cheez sar aaye
Farishta se qaza ke rah-e-Tayyaba mein yeh keh doon ga Zara thehro zara thehro mere Aaqa ka dar aaye
Lahad mein dekh kar tum ko yeh keh doon ga farishton se Main jin ka naam lewa hoon yeh woh jaan-e-qamar aaye
Munawwar dil kaleja shaad aabadi mayassar ho Jo un ki rahguzar mein meri aankhon ka khandhar aaye
Hayat-e-batini hasil ho meri rooh-e-muztar ko Agar khwab-e-adam mein Aap ka jalwa nazar aaye
Pohnch jaaun main Tayyaba ko ziyarat un ki hasil ho Ilahi meri qismat mein koi aisa safar aaye
Main behoshi ke aalam mein gareban chaak kar daaloon Woh pyara sabz gumbad door se jis dam nazar aaye
Likha hai khama-e-qudrat ne un ke sabz gumbad par Jisay jo kuch zaroorat ho yahan se le idhar aaye
Sagaan-e-dar tumhare gar bana len mujh ko sag apna Tamanna meri poori ho mera maqsood bar aaye
Tumhara naam-e-naami naqsh hai dil ke nageene par Mujhe dozakh se phir kis baat ka khauf-o-khatar aaye
Jo ho khursheed-e-mahshar laakh roshan munfa'il hoga Qayamat mein liye jis waqt hum daagh-e-jigar aaye
Tumhare dar ke zarr'on ki ziya ho jis ki aankhon mein Bhala us ki nazar mein kya koi rashk-e-qamar aaye
Tumhare naam se roshan huin konain ki aankhein Tumhein noor-e-nazar aaye tumhein noor-e-basar aaye
Na dekha misl tera koi surat mein na seerat mein Hazaron ambiya aaye karoron hi bashar aaye
Khawand-e-jahan ne jab kiya raaij hukoomat ko Niabat ke liye Mehboob-e-Haq khair-ul-bashar aaye
Tumhare naam se roshan hain ikay bazm-e-wahdat ke Tumhare aastaan par bheek lene tajwar aaye
Parha khutba unhi ke naam ka hoor-o-malaik ne Jo woh Mehboob-e-Khaliq ban ke dulha Arsh par aaye
Madine ki ziyarat se na kar inkaar ae jahil Tujhe hasil na hoga kuch jo Makkay umr bhar aaye
Wahabi Qadyani Nechari sab reh gaye takte Ghulaman-e-Shah-e-Deen pul se ik pal mein utar aaye
Jameel-e-Qadri Rizwi ko jab dekhein ge mahshar mein Kahein ge hashr walay Wasif-e-Khair-ul-Bashar aaye





