Shan-e-Huzur fikr-e-bashar mein na aasake Koi bhi Mustafa ki haqiqat na paaske Tafseel kya bayan ho un ke urooj ki Arsh-e-Ala par un ke siwaa kaun ja-sake Wa-l-fajr un ke chehre ko Quran ne kaha Mehtab un ke husn ki kya taab lasake Dekhay jo ek baar Madine ki ronqeen Phir woh haram ki yaad na dil se bhala sake Ko hoska na zikr Muhammad ﷺ se aashna Mahshar mein woh Huzoorؐ ko kya munh dikha sake Jis par Zohuriؔ un ki nigah-e-karam rahe Us ka nishan na koi jahan se mita sake





