Shahid gul hai mast-e-naz hijla-e-nau-bahaar mein Naz-o-ada ke phool hain phoolay galay ke haar mein
Aa'ein ghata'ein hujoom kar ishq ke kohsaar mein Barish-e-gham hai ashk-baar girya-e-beqarar mein
Ishq ne chhori phuljari dil ki lagi bharak uthi Aatish-e-gul ke phool se aag lagi bahaar mein
Aankhon se lag gayi jhadi bahr mein mauj aa gayi Sail-e-sirishk ubal para nala-e-qalb-e-zaar mein
Shauq ki cheera dastiyan dil ki urayin dhajiyan Wahshat-e-ishq ka saman daman-e-taar taar mein
Bijli si ik tarap gayi khirman-e-hosh ur gaya Barq sharara baar thi jalwa-e-noor-e-yar mein
Tabish-e-rukh se chaar chand lag gaye mehr-o-maah ko Husn-e-azal hai jalwa-raiz aaina-e-izar mein
Kaaba-e-abroo dekh kar sajday jabeen mein muztarib Dil ki tarap ko chain kya tab kahan qarar mein
Shahid gul hai Mustafa Taiba chaman hai jan-faza Gulshan-e-quds hai khula sahn-e-hareem-e-yar mein
Susan-o-yasaman, saman, sumbul-o-lala nastaran Sara hara bhara chaman phoola isi bahaar mein
Bagh-e-jinan lehak utha, qasr-e-jinan mehak utha Saikron hain chaman khulay phool ki ik bahaar mein
Saaray bahaaron ki dulhan hai meray phool ka chaman Gulshan-e-naz ki phaban Taiba ke khaar khaar mein
Tum ho Habib-e-Kibriya pyari tumhari har ada Tum sa koi haseen bhi hai gulshan-e-rozgar mein
Nikli na koi aarzu dil ki hi dil mein reh gayi Hasraten hain hazar dafan qalb ke ek mazar mein
Khaar-e-Madinah dekh kar wahshat-e-dil hai zor par Dast-e-junoon ulajh gaya daman-e-dil ke taar mein
Maah teri rikab mein, noor hai aaftab mein Boo hai teri gulab mein rang tera anaar mein
Ghuncha-e-dil mehak utha mauj-e-naseem-e-Taiba se Rooh-e-shamim thi basi gesoo-e-mushk-baar mein
Shauq ki nashakibiyan soz ki dil-gudaziyan Wasl ki namuradiyan aashiq-e-dilfigar mein
Gardish-e-chashm-e-naz se Hamid ma-gusar mast Rang-e-suroor-o-kaif hai chashm-e-khumar-daar mein





