Sahar chamki jamal-e-fasl-e-gul araishon par hai Nasim-e-ruh-parwar se masham-e-jaan muattar hai
Qareeb-e-Taibah bakhshe hain tasawwur ne maze kya kya Mera dil hai Madinah mein Madinah dil ke andar hai
Malaik sar jahan apna jhujakte darte rakhte hain Qadam un ke gunahgaron ka aisi sar-zameen par hai
Aray o sone wale dil aray o sone wale dil Sahar hai jaag ghafil dekh to aalam munawwar hai
Suhani tarz ki tal’at nirale rang ki nikhat Nasim-e-subh se mehka hua pur-noor manzar hai
Ta’ala Allah yeh shadabi yeh rangini Ta’ala Allah Bahar-e-hasht jannat dasht-e-Taibah par nichawar hai
Hawain aa rahi hain kucha-e-pur-noor-e-janan ki Khuli jaati hain kaliyan taazgi dil ko muyassar hai
Munawwar chashm-e-za’ir hai jamal-e-Arsh-e-A’azam se Nazar mein sabz gumbad ki tajalli jalwa-gastar hai
Yeh rif’at dargah-e-Arsh-e-astan ke qurb se payi Ke har har saans har har gaam par meraj-e-deegar hai
Muharram ki nawin tareekh barah manzilen karke Wahan pahunche woh ghar dekha jo ghar Allah ka ghar hai
Na poochho hum kahan pahunche aur in aankhon ne kya dekha Jahan pahunche wahan pahunche jo dekha dil ke andar hai
Hazaron be-nawan ke hain jamghat astana par Talab dil mein sada-e-Ya RasoolAllah lab par hai
Likha hai khama-e-rehmat ne dar par khatt-e-qudrat se Jise yeh astana mil gaya sab kuchh mayassar hai
Khuda hai is ka malik yeh khudai bhar ka malik hai Khuda hai is ka Maula yeh khudai bhar ka sarwar hai
Zamana is ke qabu mein zamane wale qabu mein Yeh har daftar ka hakim hai yeh har hakim ka afsar hai
Ata ke sath hai mukhtar rehmat ke khazanon ka Khudai par hai qabu bas Khuda hi is se bahar hai
Karam ke josh hain bazl-o-ni’am ke daur daure hain Ata-e-bannawa har be-nawa se sheer-o-shakar hai
Koi lipta hai fart-e-shauq mein rauzah ki jaali se Koi gardan jhukaye rub se ba-didah-e-tar hai
Koi mashghul-e-arz-e-haal hai yun shadman ho kar Ke yeh sab se bari sarkar hai taqdeer yawwar hai
Kameena bandah-e-dar arz karta hai huzuri mein Jo maurusi yahan ka madh-gastar hai sana gar hai
Teri rehmat ke sadqe yeh teri rehmat ka sadqah tha Ke in napak aankhon ko yeh nazara mayassar hai
Zaleelon ki to kya ginti salateen-e-zamana ko Teri sarkar aali hai tera darbar bartar hai
Teri daulat teri sarwat teri shaukat jalalat ka Na hai koi zameen par aur na koi aasman par hai
Mataf-o-Ka’aba ka aalam dikhaya tu ne Taibah mein Tera ghar beech mein charon taraf Allah ka ghar hai
Tajalli par teri sadqe hai mehr-o-maah ki tabish Paseene par tere qurban ruh-e-mushk-o-ambar hai
Gham-o-afsos ka dafi’ ishara pyari aankhon ka Dil-e-mayus ki hami nigah-e-bandah-parwar hai
Jo sab achhon mein hai achha jo har behtar se hai behtar Tere sadqe se achha hai tere sadqe mein behtar hai
Rakhun main hazri ki sharm in a’amaal par kyonkar Mere imkan se bahar meri qudrat se bahar hai
Agar shan-e-karam ko laaj ho mere bulane ki To meri hazri donon jahan mein meri yawwar hai
Mujhe kya ho gaya hai kyon main aisi baten karta hoon Yahan bhi yaas-o-mehroomi yeh kyonkar ho yeh kyonkar hai
Bula kar apne kutte ko na dein chamkar kar tukra Phir is shan-e-karam par feham se yeh baat bahar hai
Tazabzub maghfirat mein kyon rahe is dar ke za’ir ko Ke yeh dargah-e-wala rehmat-e-khalis ka manzar hai
Mubarak ho Hassan sab aarzuyen ho gayin puri Ab un ke sadqe mein aish-e-abad tujh ko mayassar hai





