Saare aalam mein tira raaj Madine wale Fakhr-e-ummat, mare sartaj Madine wale
Kal talak taab-e-shakeebai kahan se laaun Kijiye deedar-e-ata aaj Madine wale
Tiri nisbat ke taqazon ko nibhaaun kaise? Khud hi rakhiyega mari laaj Madine wale
Jo khurch deta hai zangaar dilon se kaalak Sang-e-dar hai tira woh saaj Madine wale
Apni kamli mein chupa kar mujhe roz-e-mahshar Dhaanp lijeyega mare paaj Madine wale
Dar pe batte hue ganzeene liye shahon ne Sab sakhi hain tere mohtaj Madine wale
Teri toseef ho Altaf ke lab par jaari Ho yahi kaam yahi kaaj Madine wale





