Sang-e-dar-e-Habib hai aur sar ghareeb ka Kis auj par hai aaj sitara naseeb ka
Phir kis liye hai mere gunahon ka ehtisab Jab wasta diya hai tumhare Habib ﷺ ka
Rah-e-firaq mein bhi rafeeq-e-safar raha Zakhm-e-jigar ne kaam kiya hai tabeeb ka
Mansoor hai na koi masiha nazar mein hai Kya be-mahal hai tazkira daar-o-saleeb ka
Rakhta hai be-adab bhi yahan za’m-e-agahi Yeh haal hai to haal na poochho adib ka
Yeh bargah-e-husn-e-do-alam na ho kahin Hai pasban-e-raqib yahan kyun raqeeb ka
Wasif Ali talash kare ab kahan tujhe Doori ko jab hai tujh se talluq qareeb ka
Fida-ka abi wa ummi wa roohi wa qalbi ya Sayyidi ya Rasool Allah ﷺ salla Allahu alaihi wa alihi wa ashabihi wa barik wa sallam




