We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Samjha Nahi HanuzNot Verified

Muhammad Azam Chishti

Samjha nahin hanooz mera ishq-e-be-sabaat Tu kainat-e-husn hai ya husn-e-kainat


Jo zikr-e-zindagi ke fasane ki jaan hai Woh tera zikr-e-pak hai ae zeenat-e-hayat


Ek khaliq-e-jahan hai tu ek malik-e-jahan Ek jaan-e-kainat hai ek wajah-e-kainat


Bazm-e-hudoos se hai muqaddam tera wajood Khaliq ke baad kyun na mukarram ho teri zaat



Never Be Without Your Favorite Lyrics - Get the App for Offline Access!

Get it on Google Play


Ab tak saji hui hai sitaron ki anjuman Is intezar mein ke phir aayen woh ek raat


Irshad-e-Marmiyat se zahir hua yeh raaz Hai kibriya ka haath Rasool-e-Khuda ka haath


A'zam mein zikr-e-Shah-e-Zaman kaise chhod doon Mere liye to hai yahi sarmaya-e-hayat

Why Screenshot When You Can Download? Get the App for Efficient Storage!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah