Koi mehboob-e-Kibriya na hua Koi tujh sa tere siva na hua
Rozan-e-dil se jhankne wale Aaj tak tera samna na hua
Kaun hai is ka, tu nahin jis ka Aur kis ka hai jo tera na hua
Haq ne kab teri baat tali hai Kaun se din tera kaha na hua
Tujh pe kya kya sitam dhaaye na gaye Tujh se kis shakhs ka bhala na hua
Hum pe kitna woh meherban ho ga Jis se dushman ka dil bura na hua
Zabt ke taar toot toot gaye Jab koi kafila ravana hua
Thi yehi ghayat-e-hayat-e-Azam Phir bhi madhat ka haq ada na hua





