Aisa koi mehboob na hoga na kahin hai Baitha hai chatai pe magar arsh nasheen hai
Milta nahi kya kya do jahan ko tere dar se Ik lafz nahi hai ke tere lab pe nahi hai
Tu chahe toh har shab ho misaal-e-shab-e-Isra Tere liye do chaar qadam arsh-e-bareen hai
Har ik ko muyassar kahan us dar ki ghulami Us dar ka toh darbaan bhi Jibreel-e-Ameen hai
Rukte hain yahan aake qadam ahl-e-nazar ke Is kooche se aage na zaman hai na zameen hai
Ae Shah-e-zaman ab toh ziyarat ka sharaf de Be-chain hain aankhein meri be-taab jabeen hai
Dil girya kanaan aur nazar sooye Madinah Azam tera andaaz-e-talab kitna haseen hai





