Le ke pehlu mein gham-e-ummat-e-naadaar aaye Ummati ummati kehte hue Sarkaar aaye
Khul gaye mehfil-e-konain pe konain ke raaz Mehram-e-raaz-e-nihaan waqif-e-asraar aaye
Sun ke Sarkaar-e-Madinah ki wiladat ki khabar Har gunahgaar pukara mere gham-khwaar aaye
Farsh walon ke muqaddar ka sitara chamka Shor utha ke ghareebon ke madadgaar aaye
Phir kise maangne ka hosh rahe ae Aazam Baantne wala agar khud sar-e-bazaar aaye





