Qafas-e-jism se chhutte hi yeh parraan hoga Murgh-e-jaan gumbad-e-khizra pe ghazal khwaan hoga
Roz-o-shab marqad-e-aqdas ka jo nigraan hoga Apni khush-bakhti pe woh kitna na naazaan hoga
Us ki qismat ki qasam khaayen farishtay toh baja Eid ki tarah woh har aan mein shaadaan hoga
Us ki farhat pe tasaddul hon hazaaron eidein Kab kisi eid mein aisa koi farhaan hoga
Chaman-e-Taiba mein toh dil ki kali khilti hai Kya Madinay se siwa rauda-e-Rizwaan hoga
Woh gulistaan hai jahan aap hon aye jaan-e-jinaan Aap sehra mein agar aayen gulistaan hoga
Aap aajayen jo chaman se toh chaman jaan-e-chaman Khasa-e-ik khaak basar dasht-e-mughilaan hoga
Jaan-e-imaan hai mohabbat teri jaan-e-janaan Jis ke dil mein yeh nahin khaak musalmaan hoga
Dard-e-furqat ka madaawa na hua aur na ho Kya tabeebon se meray dard ka darmaan hoga
Jis ne tabreed bataayi khafaqaan hoga usay Kya thandaayi se ilaaj-e-tap-e-hijraan hoga
Kehrubaayi na ho kyun rang meray chehray ka Jitna eeqaan barha utna hi tarsaan hoga
Noor-e-imaan ki jo mash'al rahay roshan phir toh Roz-o-shab marqad-e-Noori mein charaghaan hoga
Ik ghazal aur chamakti si suna de Noori Dil jala paaye ga mera tera ehsaan hoga





