Pur-noor hai zamana subh-e-shab-e-wiladat Parda utha hai kis ka subh-e-shab-e-wiladat
Jalwa hai Haq ka jalwa subh-e-shab-e-wiladat Saya Khuda ka saya subh-e-shab-e-wiladat
Fasl-e-bahaar aayi shakl-e-nigar aayi Gulzar hai zamana subh-e-shab-e-wiladat
Phoolon se baagh mehke shakhon pe murgh chehke Ahd-e-bahaar aaya subh-e-shab-e-wiladat
Pazmurda hasraton ke sab khet lehlahaye Jari hua woh darya subh-e-shab-e-wiladat
Gul hai charagh-e-sarsar gul se chaman muattar Aaya kuch aisa jhonka subh-e-shab-e-wiladat
Qatra mein laakh darya gul mein hazar gulshan Nashv-o-numa hai kya kya subh-e-shab-e-wiladat
Jannat ke har makan ki aayina bandiyan hain Aarasta hai duniya subh-e-shab-e-wiladat
Dil jagmaga rahe hain qismat chamak uthi hai Phaila naya ujala subh-e-shab-e-wiladat
Chakhte huye dilon ke muddat ke mail chhoote Abr-e-karam woh barsa subh-e-shab-e-wiladat
Bulbul ka aashiyana chhaya gaya gulon se Qismat ne rang badla subh-e-shab-e-wiladat
Arz-o-sama se mangta daure hain bheek lene Baante ga kaun baara subh-e-shab-e-wiladat
Anwar ki ziyayen phaili hain shaam hi se Rakhti hai mehr kaisa subh-e-shab-e-wiladat
Makkah mein shaam ke ghar roshan hain har nigah par Chamka hai woh ujala subh-e-shab-e-wiladat
Shaukat ka dabdaba hai haibat ka zalzala hai Shaq hai makan-e-Kasra subh-e-shab-e-wiladat
Khutba hua zameen par sikka pada falak par Paya jahan ne Aaqa subh-e-shab-e-wiladat
Aayi nayi hukumat sikka naya chale ga Aalam ne rang badla subh-e-shab-e-wiladat
Ruh-ul-Ameen ne gaara Kaaba ki chhat pe jhanda Ta-arsh uda pharaira subh-e-shab-e-wiladat
Donon jahan ki shahi na-katkhuda dulhan thi Paya dulhan ne dulha subh-e-shab-e-wiladat
Padhte hain Arsh wale sunte hain farsh wale Sultan-e-nau ka khutba subh-e-shab-e-wiladat
Chandi hai muflison ki bandi hai khush-naseebi Aaya karam ka daata subh-e-shab-e-wiladat
Aalam ke daftaron mein tarmeem ho rahi hai Badla hai rang-e-duniya subh-e-shab-e-wiladat
Zulmat ke sab register harf-e-ghalat huye hain Kaata gaya siyaha subh-e-shab-e-wiladat
Mulk-e-azal ka sarwar sab sarwaron ka afsar Takht-e-abad pe baitha subh-e-shab-e-wiladat
Sookha pada hai Sawa darya hua Samawa Hai khushk-o-tar pe qabza subh-e-shab-e-wiladat
Nawabiyan sudharin jaari hain shahi aayin Kacha hua ilaqa subh-e-shab-e-wiladat
Din phir gaye hamare sote naseeb jaage Khursheed hi woh chamka subh-e-shab-e-wiladat
Qurban ae doshamba tujh par hazar jum’e Woh fazl tu ne paya subh-e-shab-e-wiladat
Pyare Rabi-ul-Awwal teri jhalak ke sadqe Chamka diya naseeba subh-e-shab-e-wiladat
Woh mehr-e-mehr-farma woh mah-e-aalam aara Taron ki chhaon aaya subh-e-shab-e-wiladat
Nousha banao un ko dulha banao un ko Hai Arsh tak yeh shuhra subh-e-shab-e-wiladat
Shaadi rachi hui hai bajte hain shadiyane Dulha bana woh dulha subh-e-shab-e-wiladat
Mahroom reh na jayen din raat barkaton se Is waste woh aaya subh-e-shab-e-wiladat
Arsh-e-azeem jhoome Kaaba zameen choome Aata hai Arsh wala subh-e-shab-e-wiladat
Hoshiyar hon bhikari nazdeek hai sawari Yeh keh raha hai danka subh-e-shab-e-wiladat
Bandon ko aish-o-shaadi a’ada ko namuradi Karkait ka hai karka subh-e-shab-e-wiladat
Taare dhalak kar aaye kase katore laye Ya’ani bate ga sadqa subh-e-shab-e-wiladat
Aamad ka shor sun kar ghar aaye hain bhikari Ghere khade hain rasta subh-e-shab-e-wiladat
Har jaan muntazir hai har deeda rah-nagar hai Ghogha hai Marhaba ka subh-e-shab-e-wiladat
Jibreel sar jhukaye qudsi pare jamaye Hain sarv-e-qad satada subh-e-shab-e-wiladat
Kis daab kis adab se kis josh kis tarab se Padhte hai un ka kalma subh-e-shab-e-wiladat
Haan deen walo utho ta’azeem walo utho Aaya tumhara Maula subh-e-shab-e-wiladat
Utho Huzoor aaye Shah-e-ghayoor aaye Sultan-e-deen-o-duniya subh-e-shab-e-wiladat
Utho malak uthe hain Arsh-o-falak uthe hain Karte hain un ko sajda subh-e-shab-e-wiladat
Aao faqiro aao mounh mangi aas pao Baab-e-karam hai wa subh-e-shab-e-wiladat
Sookhi zabanon aao ae jalti janon aao Lehra raha hai darya subh-e-shab-e-wiladat
Murjhayi kaliyon aao kumlaye phoolon aao Barsa karam ka jhaala subh-e-shab-e-wiladat
Teri chamak damak se aalam chamak raha hai Mere bhi bakht chamka subh-e-shab-e-wiladat
Taareek raat gham ki layi bala sitam ki Sadqa tajalliyon ka subh-e-shab-e-wiladat
Laya hai sher tera Noor-e-Khuda ka jalwa Dil kar de doodh dhoya subh-e-shab-e-wiladat
Baanta hai do jahan mein tu ne ziya ka baara Dede Hasan ka hissa subh-e-shab-e-wiladat





