Pahunchun agar main Rauza-e-Anwar ke saamne Sab haal-e-dil bayaan karun Sarwar ke saamne
Jaali pakad ke arz karun haal-e-dil kabhi Aansoo bahaaun main kabhi mimbar ke saamne
Har dam yeh aarzoo hai Madine ke chaand se Bistar faqeer ka ho tere dar ke saamne
Jannat ki aarzoo hai na khwahish hai hoor ki Tukda mile zameen ka tere dar ke saamne
Hai aarzoo-e-dil ke main Hindusta ko chhod Bistar jamaaun Rauza-e-Anwar ke saamne
Shah-e-Madinah Taiba mein mujh ko bula to lein Lootun ga khaak-e-paak pe main dar ke saamne
Taiba bula ke apna sag-e-dar banaiye Baad-e-saba yeh kehna Payambar ke saamne
Yun meri maut ho to hayaat-e-abad mile Khaak-e-Madinah sar pe ho sar dar ke saamne
Nikle jo jaan to dekh ke gumbad Habib ka Madfan bane to Rauza-e-Athar ke saamne
Mangta ki kya shumaar salateen-e-rozgaar Aate hain bheek lene tere dar ke saamne
Dono jahan ko ne'mat-e-konain baantna Kuch baat bhi ho mere tunagar ke saamne
Yun ambiya mein Shah-e-Do-Aalam hain jalwa-gar Jaise ho chaand anjum-o-akhtar ke saamne
Khushboo-e-mushk zulf-e-mu'ambar ke saamne Aisi hai jaise khaak ho gohar ke saamne
Gulzaar-o-baagh-o-gul ki na khwahish rahe tujhe Ae andaleeb mere gul-e-tar ke saamne
Kyun rokte ho khuld se mujh ko malaika Achha chalo to Shafe-e-Mahshar ke saamne
Jaari hai al-atash ki sada har zabaan par Mela laga hai chashma-e-Kausar ke saamne
Dikhla rahe hain sookhi zabaanein Huzoor ko Pyaase khade hain Saqi-e-Kausar ke saamne
Jo koi bhi kare ga shafa'at woh un ke paas Yeh hain Shafee' Dawar-e-Mahshar ke saamne
Inkaar kar na fazl-e-Nabi se to ae shaqi Jaana hai tujh ko Dawar-e-Mahshar ke saamne
Hai Qadri Jameel ki yeh arz-e-aakhiri Ho qabr us ki Rauza-e-Athar ke saamne





