Payaam le ke jo aayi saba Madine se Mareez-e-ishq ki laayi dawa Madine se
Suno to gaur se aayi sada Madine se Qareen hai rehmat-o-fazl-e-Khuda Madine se
Mile hamare bhi dil ko jila Madine se Ke mehr-o-maah ne paayi ziya Madine se
Tumhari ek jhalak ne kiya use dilkash Farogh-e-husn ne paaya shaha Madine se
Tamaam shah-o-gada pal rahe hain is dar se Mili jahaan ko rozi sada Madine se
Jo aaya le ke gaya kaun lauta khaali haath Bata de koi suna ho jo laa Madine se
Bata de koi kisi aur se bhi kuch paaya Jise mila jo mila woh mila Madine se
Woh aaya khuld mein jo aa gaya Madine mein Gaya woh khuld se jo chal diya Madine se
Na chain paaye ga yeh ghamzada kisi surat Mareez-e-gham ko mile gi shifa Madine se
Lagaao dil ko na duniya mein har kisi shay se Ta'alluq apna ho Ka'abe se ya Madine se
Gada ki raah jahaan dekhein phir nawa kyon ho Nawa se pehle mile be-nawa Madine se
Chaman ke phool khile murda dil bhi jee uthe Naseem-e-khuld se aayi hai ya Madine se
Kare gi murdon ko zinda yeh tishnon ko sairab Woh dekho uthi karam ki ghata Madine se
Madinah chashma-e-aab-e-hayaat hai yaaro Chalo hamesha ki le lo baqa Madine se
Faza-e-khuld ke qurbaan magar woh baat kahan Mil aayen Hazrat-e-Rizwan zara Madine se
Hamare dil ko to bhaaya hai Taibah hi Zahid Tumhein hai Makkah to hoga siwa Madine se
Chale jo Taibah se Muslim to khuld mein pahunche Ke seedha khuld ka hai raasta Madine se
Tum ek aan mein aaye gaye tumhare liye Do gaam bhi nahi arsh-e-ala Madine se
Tumhare qadmon pe sar sadqe jaan fida ho jaaye Na laaye phir mujhe mera Khuda Madine se
Tere Habeeb ka pyaara chaman kiya barbaad Ilaahi nikle yeh Najdi bala Madine se
Tere naseeb ka Noori mile ga tujh ko bhi Le aaye hissa yeh shah-o-gada Madine se





