Parhoon woh matla-e-Noori sana-e-Mehr-e-Anwar ka Ho jis se qalb-e-roshan jaise matla-e-Mehr-e-Mahshar ka
Sar-e-Arsh-e-Ula pahuncha qadam jab mere Sarwar ka Zabaan-e-Qudsiyan par shor tha Allah-o-Akbar ka
Bana Arsh-e-Bareen masnad kaf-e-pa-e-munawwar ka Khuda hi jaanta hai martaba Sarkar ke sar ka
Do-aalam sadqa paate hain mere Sarkar ke dar ka Isi Sarkar se milta hai jo kuch hai muqaddar ka
Bare darbar mein pahunchaya mujh ko meri qismat ne Main sadqe jaaun kya kehna mere achhe muqaddar ka
Hai khushk-o-tar pe qabza jis ka woh Shah-e-Jahan yeh hai Yahi hai badshah-e-bar ka yahi sultan samundar ka
Mate zulmat jahan ki noor ka tarka ho aalam mein Naqab-e-ru-e-Anwar ae mere khursheed ab sarka
Ziya bakhshi teri Sarkar ki aalam pe roshan hai Mah-o-khursheed sadqa paate hain pyaare tere dar ka
Nigah-e-Mehr se apni banaya Mehr-e-zarron ko Elahi noor din duna ho Mehr-e-zarra-parwar ka
Tabaq par aasman ke likhta main naat-e-Shah-e-Wala Qalam ae kaash mil jata mujhe Jibreel ke par ka
Muqabil un ke zarre ke zara sa munh nikal aaya Bahut shohra suna karte the hum Khursheed-e-Mahshar ka
Jamal-e-Haq numa dekhein ayan noor-e-Khuda paayein Kaleem aaein hata dekhein zara parda tere dar ka
Na saya rooh ka hargiz na saya noor ka hargiz Tu saya kaisa is jaan-e-jahan ke jism-e-Anwar ka
Woh aaina agar dekhein to apne aap ko dekhein Kahan hai aaina mein aur koi un ke barabar ka
Mahal-e-aql hai tera mumasil ae mere Sarwar Tawahum kar nahin sakta hai aaqil tere humsar ka
Khuda shahid Raza ka aap ki talib Khuda hoga Ta'ala Allah rutba mere haami mere yaawar ka
Daba jata paja jata hoon main Aaqa duhai hai Yeh bhari bojh isyaan ka mere sar ka zara sarka
Bujhe gi sharbat-e-deedar hi se tishnagi apni Tumhari deed ka pyasa hoon yun pyasa hoon Kausar ka
Zabaan par jam gaye kaante hai sara halq khushk apna Shaheed-e-Karbala ka sadqa do ik jaam Kausar ka
Kami kuch bhi khazane mein tumhare ho nahin sakti Tumhein Haq ne ata farma diya jab chashma-e-Kausar ka
Jo aab-o-taab-e-dandan-e-munawwar dekh loon Noorii Mera bahr-e-sukhan sar-chashma ho khush-aab gohar ka





